Zindagii jehad mein hai sabr ke qaabuu mein nahii,
Nabz-e-hastii kaa lahuu kaamptii aansuu mein nahii,
Udne khulne mein hai nakhat kham-e-gesu mein nahii,
Jannat aik aur hai jo mard ke pahluu mein nahii,
Uskii aazaad ravish par bhi machalnaa hai tujhe,
Uth merii jaan! Mere saath hii chalnaa hai tujhe.
Poema de Kaifi Azmi